*Khud ko yu'n teri mohabbat me na ruswa karti,
Gar kitabo'n me tera naam na likkha karti.
*Ban ke sapna toh na aaye thay mere jeevan me,
Tum haqeeqat thay bhala kyun na bharosa karti.
*Berukhi ne teri patthar bana ke chhoda hai,
Phool thi Mai toh tere sehn me mehka karti.
*Meri fursat ke ye lamhe sabhi tere hote,
Tu na hota teri tasweer ko dekha karti.
*Shaam dhalte huwe tu chaand sa nikla karta,
Mai jharoke me tujhe baith ke dekha karti.
*Tera uljha huwa jeevan meri mushkil hai magar,
Tu paheli hi sahi mai tujhe bhuja karti.
*Raag hota tu agar mai teri Sargam hoti.
Saari dunya hame'n ek saath hi gaya karti.
SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam,
Bangalore.
*Gham hai kis baat ka bata dijye,
Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..
*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..
*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..
*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..
*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..
*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..
*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..
*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
*Hai faqat uska sarapa hi nazar me aaj kal,
Bas gaya hai jo mere Qalb-o-jigar me aaj kal..
*Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida,
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..
*Shukr hai Allah ka mehma'n ki aamd ke tufail,
Rahmate'n naazil huwi hain mere ghar me aaj kal..
*Jab pade tere Qadam toh door zulmat ho gayi,
Roshni pheli huwi hai
rah-guzar me aaj kal..
*Mushkile'n asaan kar de kar karam
Rabb-e-kareem,
Phans gaya hun mai masayil ke bhanwar me aaj kal..
*Ho na ho hamraah koyi par dua letay chalo,
Kaam aati hain duaaye'n hi safar me aaj kal..
*Qaum ka belos khadim tha jo kal
IBN-E-HASAN,
Aa gaya hai woh bhi shohrat ke asar me aaj kal..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
*Gham hai kis baat ka bata dijye,
Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..
*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..
*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..
*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..
*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..
*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..
*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..
*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.
*Pagal samajh na le kahein ahl-e-nazar mujhe,
Itna toh hosh rehne de dard-e-jigar mujhe..
*Hamraah tum chale ho toh raste mahek utthe,
Kitna haseen lagne laga hai safar mujhe..
*Shayed bichhad ke aap se zindah na reh saku'n,
Tanha na chhodna kabhi Ay hamsafar mujhe..
*Shaheen hun mai mera basera hai shakh par,
Raas aayega bhala kaha'n sheeshe ka ghar mujhe..
*Baati nahi hai jinke gharo'n ke charagh me,
Milte hain har Qadam pe wahi chaand par mujhe..
*Shayed jhuka nahi hai ye aage yazeed ke,
Rakkha dikhayi de hai jo neze pe sar mujhe..
*Beti ke haath is tarah peele kiye gaye,
PARVEZ bech dena pada apna ghar mujhe..
SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.
*Dekhe'n woh kab shaad kare hai..
Gham se kab azaad kare hai..
*Mere haal pe rone waale..
Kyun aansu barbaaad kare hai..
*Kitna sachcha pyar tha apna..
Aaj bhi dunya yaad kare hai..
*Har pal aahe'n bharta guzre..
Har lamha faryaad kare hai..
*Milte thay jis ped tale ham..
tum ko barabar yaad kare hai..
*Kis ke hijr me aankhe'n nam hain
Kisko ai dil yaad kare hai..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.
(Punjab)
*Dil me rehta tha aankho'n se hota huwa,
Woh gaya meri palke'n bhigota huwa..
*Hai udaasi fazao'n me bikhri huwi,
Kaun guzra hai galiyo'n se rota huwa..
*Haath katwa diye jab woh pakda gaya,
Pyar ke motiyo'n ko pirota huwa..
*Ab toh ban kar haqeeqat chale aayiye,
Thak gaya hun mai sapne sajota huwa..
*Ho ke mayoos lauta tere dar se yu'n,
Jaise jaaye koyi khud ko dhota huwa..
*Shaakh par phool jaisa laga tha mujhe,
God me maa ki bachcha woh sota huwa..
*Daagh jaate nahi hain lahu ke HAYAT,
Phaad daale na daman woh dhota huwa..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
*Tum jo kehte ho badi hai toh badi hai dunya,
Warna dekho mere Qadmo'n me padi hai dunya..
*Mai bazid hun ke na tasleem karunga hargiz,
Baat udhar apni manane pe adi hai dunya..
*Bariyabi ki sa'aadat nahi hasil usko,
Muntazir kab se mere dar pe khadi hai dunya..
*Abr-e-befaiz hai ek mosam-e-bebara'n hai,
Aur baras jaye toh sawan ki jhadi hai dunya..
*Jab bhi chaha usay paspa hi kya hai RAHI,
Jin mahazo'n pe mere saath ladi hai dunya..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Barsitakli, Akola.
*Tum se bichhad ke neend na aayi tamaam raat,
Karwat badal badal ke bitayi tamaam raat..
*Kal chaudhvi ki raat ka har pal udaas tha,
Tum ne na apni shakl dikhayi tamaam raat..
*Din toh tumhe bhulane ki koshish me kat gaya,
Lekin tumhari yaad satayi tamaam raat..
*Moda tha ham ne baat ka rukh baarha magar,
Har baar usne baat badhayi tamaam raat..
*Saare Khatoot unke uda le gayi saba,
Ab dega nama-bar bhi duhayi tamaam raat..
*Phir ye huwa ke
zikr-e-wafa chhid gaya ANEES,
Usne nazar na mujh se milayi tamaam raat..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
*Jo nazar ka khel tha woh pyar ban kar reh gaya,
Husn ka inkaar bhi iqraar ban kar reh gaya..
*Kis Qadar zalim huwa hai aaj kal ka ye samaj,
Do dilo'n ke darmiya'n diwaar ban kar reh gaya..
*Ishq ne kuchh is tarah badla mizaj-e-zindagi,
Jo kabhi tha kaam ka bekaar ban kar reh gaya..
*Saath jab tak tha tera khush-haal thi ye zindagi,
Tere bin jeena mera dushwar ban kar reh gaya..
*Chand lamho'n ka milan aur umr bhar ki dooriya'n,
Aaj kal ke pyar ka me'yar ban kar reh gaya..
*Sar se aanchal dhal gaya aur is tarah girta gaya,
Jo dupatta tha gale ka haar ban kar reh gaya..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
(Bhatkal)
*Kayi baar sooraj ke phere huwe hain,
Andhere magar ham ko ghere huwe hain..
*Nazaare kahein mustaqil kaash hote,
Ye tere huwe hain na mere huwe hain..
*Sitaro'n se sadiyo'n ujaale nichode,
Magar khatm kab ye andhere huwe hain..
*Meri neend ko raat bhar khwab ban kar,
Mulaqat ke rang ghere huwe hain..
*SHAKEEB Apna daman toh khali hai ab tak,
Bhari rut me gulshan ke phere huwe hain..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.