Wednesday, October 6, 2010

GHAZAL NO30)

GHAZAL NO30)

*Dil lagane ki baat karte ho..
Jaa'n ganwane ki baat karte ho..

*Gham ki saughat bakhsh kar mujh ko..
Kyun hansane ki baat karte ho..

*Dost milta hai ab kaha'n mukhlis..
Kis zamane ki baat karte ho..

*Tukhm nafrat ke bo ke,ulfat ke..
Gul khilane ki baat karte ho..

*Dil ki basti basa nahi paye..
Ghar baane ki baat karte ho..

*Jisko dekha nahi kabhi tum ne..
Us ko paane ki baat karte ho..

*Khud bhatakte ho dar-ba-dar mujh ko..
Rah dikhane ki baat karte ho..

*Gham ki nagri me SHAAD aa kar kyun..
Muskurane ki baat karte ho..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Jamia abad.(Bhatkal)

GHAZAL NO29)

GHAZAL NO29)

*Hamsafar ham jinko ek muddat talak mana kiye..

Saath chalne se hamare woh hi katraya kiye..

*MAA hamesha ham se kehti hai ke rona mat kabhi,

Usko tanhayi me lekin ghamzada dekha kiye..

*Sochne ki apne baare me na mohlat mil saki,

Har ghadi bas aap ke baare me hi socha kiye..

*Jaag utthi jab kabhi hasrat tere didaar ki..

Chandani raato'n me utth kar chand ko dekha kiiye..

*Woh mile toh jaise mil jayegi ham ko har khushi,

Ham Khuda se har dua me bas usay maanga kiye..

*Dil ke har tareek goshe me ujala ho gaya,

Jab tasauwur me tumhe Ay Hamsafar laya kiye..


SHAYIR:

HAMSAFAR KUMTAVI.