Saturday, January 15, 2011

my website

www.startnewstoday.com

Wednesday, October 6, 2010

GHAZAL NO30)

GHAZAL NO30)

*Dil lagane ki baat karte ho..
Jaa'n ganwane ki baat karte ho..

*Gham ki saughat bakhsh kar mujh ko..
Kyun hansane ki baat karte ho..

*Dost milta hai ab kaha'n mukhlis..
Kis zamane ki baat karte ho..

*Tukhm nafrat ke bo ke,ulfat ke..
Gul khilane ki baat karte ho..

*Dil ki basti basa nahi paye..
Ghar baane ki baat karte ho..

*Jisko dekha nahi kabhi tum ne..
Us ko paane ki baat karte ho..

*Khud bhatakte ho dar-ba-dar mujh ko..
Rah dikhane ki baat karte ho..

*Gham ki nagri me SHAAD aa kar kyun..
Muskurane ki baat karte ho..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Jamia abad.(Bhatkal)

GHAZAL NO29)

GHAZAL NO29)

*Hamsafar ham jinko ek muddat talak mana kiye..

Saath chalne se hamare woh hi katraya kiye..

*MAA hamesha ham se kehti hai ke rona mat kabhi,

Usko tanhayi me lekin ghamzada dekha kiye..

*Sochne ki apne baare me na mohlat mil saki,

Har ghadi bas aap ke baare me hi socha kiye..

*Jaag utthi jab kabhi hasrat tere didaar ki..

Chandani raato'n me utth kar chand ko dekha kiiye..

*Woh mile toh jaise mil jayegi ham ko har khushi,

Ham Khuda se har dua me bas usay maanga kiye..

*Dil ke har tareek goshe me ujala ho gaya,

Jab tasauwur me tumhe Ay Hamsafar laya kiye..


SHAYIR:

HAMSAFAR KUMTAVI.

Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO28

(GHAZAL NO28)

*Ham toh khushbu sa hawawo'n me racha karte hain..
Aur chupke se tujhe roz chhuva karte hain..

*Dhoop ho chhao'n ho barsaat ho Mosam ho koyi..
Ham dua ban ke tere saath chala karte hain..

*Tanz ke kitne hi kaanto'n ko nikala ham ne..
Tees ke teer magar dil me chubha karte hain..

*Chandani raat me masoom se Bachche ki tarah..
Thaam ke ungliya'n yaado'n ki chala karte hain..

*Baato'n baato'n me chhidi baat hai jabb bhi unki..
Ham khayalo'n me kahein door uda karte hain..

*Tere Qadamo'n se lipat jaane ko bechain thay jo..
Pool who aaj bhi shakho'n se jhada karte hain..

*Boond bhar chandani Khushbuye'n hasee'n phoolo'n ki..
Ghol ke lafzo'n me ham geet likha karte hain..

*Ham ko kuchh kaam zamane se nahi hai ham toh..
Tere didaar ki hasrat me jiya karte hain..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
Gurdaspur,(Punjab)

GHAZAL NO27

(GHAZAL NO27)



*Koyi wa'da unka shayed bawafa hota nahi..
 Whojafa karte hain lekin mai khafa hot nahi..

*Jab kabhi tufaan ki zad me chale jawoge tum..
Jaan jawoge khuda hota hai ya hota nahi..

*Maal-o-daulat hai jise haasil toh sab us par fida..
 Tang-dasti me koyi bhi aashna hota nahi..

*Ilm-o-fan se hi Ay SYED ye jaha'n abaad hai..
Jism toh faani hai lekin Fan fana hota nahi..

SHAYIR:
SYED BHATKALI.
(Karnataka)

GHAZAL NO 26

(GHAZAL NO26)


*Jo izhaar-e-mohabbat ki jasarat kar nahi sakta..
Woh dunya me kisi se bhi mohabbat kar nahi sakta..

*Mujhe manzoor hain apni tabahi ke nazare bhi..
Kisi kamzarf ki lekin himayet kar nahi sakta..

Woh meri peeth peechhe toh jatata phirta hai shekhi..
Magar woh mujh se takrane ki jur'at kar nahi sakta..

*Shararat  jinka pesha hai woh baaz aa hi nahi sakte..
Mera shewah hai mai tark-e-sharafat kar nahi sakta..

*Milenge senkdo'n tum ko jaha'n me chahne waale..
Magar MAA ki tarah koyi mohabbat kar nahi sakta..

*Khuda ka khauf ho IBN-E-HASAN jis shakhs ke dil me..
Amanat me kisi ki woh khiyanat kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO25

(GHAZAL NO25)



*Alvida keh kar mujhe woh jab gul-e-rana gaya,
Gulsitaan-e-zindagi ko kar ke weerana gaya..

*Naaz karta tha jo maazi me rafaqat par meri..
Saamne se ab jo guzra jaise begana gaya..

*Shama ko phir bhi na aaya pyar par uske yaqee'n.
Jaan se uski mohabbat me jo parwana gaya..

*Jurm tha uska faqat itna ke woh ba-resh tha,
Isbina par usko dahshatgard gardana gaya..

*Doosro'n ko jaan payenge bhala woh kis tarah.
Khud na apne aap ko bhi jinse pehchana gaya..

*Kis qadar nadaan hai woh shakhs Ay IBN-E-HASAN
Gardisho'n se woob kar jo su-e-mekhana gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO24

(GHAZAL NO24)

*Apna zameer tu ne thapak kar sula diya,
MAA ko jo apni aaj sata kar rula diya..


*Dungi duaye'n tujh ko hamesha hi MAA jo hun,
Ye aur baat tu ne mera dil jala diya..


*Khoon-e-jigar se seench ke jisko bada kiya ,
usne Bahu jo aayi toh sab kuchh bhula diya..


*Bete ke ghar me aaj usi ki jaga nahi,
Jis MAA ne us pe apna sabhi kuchh luta diya.


.*Ungli pakad ke chalna sikhaya tha jis ne kal,
Ma'zoor hai woh aaj toh dar se utha diya ..


*Us ki nazar ka noor ho tum phir ye kya kiya
Tareekiyo'n me kis liye MAA ko bitha diya..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballpur,

GHAZAL NO23

(GHAZAL NO23)

*Palke'n jhuki thi phir bhi woh izhar  kar gaya,
Kya khoob saadgi se mujhe pyar kar gaya..


*Umr-e-taweel de mere allah ishq me,
Mere liye dua ye mera yaar kar gaya


*Aaya jo woh chaman me labo'n par hansi liye
Phoolo'n pe muskurana gira'n baar kar gaya..


*Lauta Toh isliye woh pareshan sa laga
Aaya tha jeetne keleye haar kar gaya..


*Soyi huwi thi hasrate'n Arsa-daraaz se.
Usne chhuwa jo dil ko toh bedaar kar gaya..


*TAHIR na puchh uski nigaho'n ki sahiri,
Nazro'n se meri mera hi didaar kar gaya..



SHAYIR:
DR.TAHIR MALIK,
Rampur maniharan,
Saharanpur (U.P.)

GHAZAL NO22

(GHAZAL NO22)

*Tum agar ehsaan karte ho jatana chhod do,
Warna behtar hai kisi ke kaam aana chhod do..


*App ke kaase me bas hamdardiya'n dalenge log,
Dastan-e-gham zamane ko sunana chhod do..


*Kaun hai Qabil ibadat ke siwa Allah ke,
Har kisi ke dar pe ja kar sar jhukana chhod do..


*Kaatib-e- taqdeer ne likkha hai jo hoga wahi,
Gardish-- aiyam par aansu bahana chhod do..


*Hadise aur zindagi toh lazim-o-malzoom hain,
Khauf se in haadiso'n ke thartharana chhod do..


*Haath aayega nahi kuchh bhi tabahi ke siwa,
Husn ki waadi ka tum chakkar lagana chhod do..


*Apni soorat bhi kabhi tum aayine me dekh lo,
Ungliya'n aibo'n pe auro'n ke uthana chhod do..


*Dard-e-dil phir se siwa ho jayega IBN-E-HASAN,
Ashk yu'n beete zamane par bahana chhod do..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



GHAZAL NO21

(GHAZAL NO21)

*Har kisi par kar ke koyi mehrbani chhod de,
khud guzar ja aur peechhe koyi saani chhod de..


*Dandanata phir raha hai kya zami'n phat jayegi,
Ek din barbad hoga lantarani chhod de..


*Ungliya'n uthti hain teri Doosro'n ki zaat par.
Apne andar jhaank unse badgumani chhod de..


*Mil gayi Taqat tujhe toh zulm se parhez kar,
ye na ho jaye kahein darya rawani chhod de..


*Shakhsiyet har shakhs ki uski zaba'n me Qaid hai,
Tuj ko izzat chahiye toh bad-zubani chhod de..


*Be tahasha hans rahe ho kya huwa DANISH tumhe.
Kal kahein aisa na ho ke aankh paani chhod de..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickaballapur.