(GHAZAL NO24)
*Apna zameer tu ne thapak kar sula diya,MAA ko jo apni aaj sata kar rula diya..
*Dungi duaye'n tujh ko hamesha hi MAA jo hun,
Ye aur baat tu ne mera dil jala diya..
*Khoon-e-jigar se seench ke jisko bada kiya ,
usne Bahu jo aayi toh sab kuchh bhula diya..
*Bete ke ghar me aaj usi ki jaga nahi,
Jis MAA ne us pe apna sabhi kuchh luta diya.
.*Ungli pakad ke chalna sikhaya tha jis ne kal,
Ma'zoor hai woh aaj toh dar se utha diya ..
*Us ki nazar ka noor ho tum phir ye kya kiya
Tareekiyo'n me kis liye MAA ko bitha diya..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballpur,
No comments:
Post a Comment