Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO16

(GHAZAL NO16)

*Pagal samajh na le kahein ahl-e-nazar mujhe,
Itna toh hosh rehne de dard-e-jigar mujhe..

*Hamraah tum chale ho toh raste mahek utthe,
Kitna haseen lagne laga hai safar mujhe..

*Shayed bichhad ke aap se zindah na reh saku'n,
Tanha na chhodna kabhi Ay hamsafar mujhe..

*Shaheen hun mai mera basera hai shakh par,
Raas aayega bhala kaha'n sheeshe ka ghar mujhe..

*Baati nahi hai jinke gharo'n ke charagh me,
Milte hain har Qadam pe wahi chaand par mujhe..

*Shayed jhuka nahi hai ye aage yazeed ke,
Rakkha dikhayi de hai jo neze pe sar mujhe..

*Beti ke haath is tarah peele kiye gaye,
PARVEZ bech dena pada apna ghar mujhe..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.

No comments:

Post a Comment