(GHAZAL NO22)
*Tum agar ehsaan karte ho jatana chhod do,Warna behtar hai kisi ke kaam aana chhod do..
*App ke kaase me bas hamdardiya'n dalenge log,
Dastan-e-gham zamane ko sunana chhod do..
*Kaun hai Qabil ibadat ke siwa Allah ke,
Har kisi ke dar pe ja kar sar jhukana chhod do..
*Kaatib-e- taqdeer ne likkha hai jo hoga wahi,
Gardish-- aiyam par aansu bahana chhod do..
*Hadise aur zindagi toh lazim-o-malzoom hain,
Khauf se in haadiso'n ke thartharana chhod do..
*Haath aayega nahi kuchh bhi tabahi ke siwa,
Husn ki waadi ka tum chakkar lagana chhod do..
*Apni soorat bhi kabhi tum aayine me dekh lo,
Ungliya'n aibo'n pe auro'n ke uthana chhod do..
*Dard-e-dil phir se siwa ho jayega IBN-E-HASAN,
Ashk yu'n beete zamane par bahana chhod do..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
No comments:
Post a Comment