Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO18

(GHAZAL NO18)

*Hai faqat uska sarapa hi nazar me aaj kal,
Bas gaya hai jo mere Qalb-o-jigar me aaj kal..

*Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida,
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..

*Shukr hai Allah ka mehma'n ki aamd ke tufail,
Rahmate'n naazil huwi hain mere ghar me aaj kal..

*Jab pade tere Qadam toh door zulmat ho gayi,
Roshni pheli huwi hai
rah-guzar me aaj kal..

*Mushkile'n asaan kar de kar karam
Rabb-e-kareem,
Phans gaya hun mai masayil ke bhanwar me aaj kal..

*Ho na ho hamraah koyi par dua letay chalo,
Kaam aati hain duaaye'n hi safar me aaj kal..

*Qaum ka belos khadim tha jo kal
IBN-E-HASAN,
Aa gaya hai woh bhi shohrat ke asar me aaj kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

No comments:

Post a Comment