(GHAZAL NO 3)
*Jo meethi baat aksar bolta hai,Wahi toh zehr dil me gholta hai..
*Qasam khata hai jo munsif ke aage,
Zaroori toh nahi sach bolta hai..
*Laga hai aib-joyi me jo sab ki,
Woh khud hi aib apna kholta hai..
*Ayaa'n ho jaati hai chehre se uljhan,
Zaba'n se jab nahi woh bolta hai..
*Ho dil me jab pareshani ka aalam,
Toh patte ki tarah dil dolta hai..
*Nahi hai jis me
khud-daari zara bhi,
Wahi khud-daar khud ko bolta hai..
*Zaba'n par rakh ke sach har waqt RAHI,
Jaha'n me kyun burayi gholta hai..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.
No comments:
Post a Comment