(GHAZAL NO14)
*Dil me rehta tha aankho'n se hota huwa,Woh gaya meri palke'n bhigota huwa..
*Hai udaasi fazao'n me bikhri huwi,
Kaun guzra hai galiyo'n se rota huwa..
*Haath katwa diye jab woh pakda gaya,
Pyar ke motiyo'n ko pirota huwa..
*Ab toh ban kar haqeeqat chale aayiye,
Thak gaya hun mai sapne sajota huwa..
*Ho ke mayoos lauta tere dar se yu'n,
Jaise jaaye koyi khud ko dhota huwa..
*Shaakh par phool jaisa laga tha mujhe,
God me maa ki bachcha woh sota huwa..
*Daagh jaate nahi hain lahu ke HAYAT,
Phaad daale na daman woh dhota huwa..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment