(GHAZAL NO 6)
*Manzar juda juda hai tujhe dekhne ke baad,Aankho'n ko kya huwa hai tujhe dekhne ke baad..
*Kin haadiso'n ka zikr karu'n sochta hun mai,
Hangama mach gaya hai tujhe dekhne ke baad..
*Dunya ki nazar-e-bad se bachaye Khuda tujhe,
Sab ki yahi dua hai tujhe dekhne ke baad..
*Aksar bujha bujha sa mai rehta hun in dinau,
Kya ho gaya na jaane tujhe dekhne ke baad..
*Ab kya kisi ka jalwah pasand aayega bhala,
Ji mera bhar gaya hai tujhe dekhne ke baad..
*Itni kaha'n thi taab ke didaar kar sake,
Ghash kha ke gir pada hai tujhe dekhne ke baad..
*Jannat se bhi ziyada ye dunya haseen hai,
Mehsoos ho raha hai tujhe dekhne ke baad..
*Nikla tha jo falak pe woh mahtab sharm se,
Badli me chhup gaya hai tujhe dekhne ke baad..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
H. No. 21/156, Nizam Manzil, Shimla nagar,
Devargudihal Road,
Old-Hubli, Hubli- 580 024.
No comments:
Post a Comment