(GHAZAL NO 9)
*Kayi baar sooraj ke phere huwe hain,Andhere magar ham ko ghere huwe hain..
*Nazaare kahein mustaqil kaash hote,
Ye tere huwe hain na mere huwe hain..
*Sitaro'n se sadiyo'n ujaale nichode,
Magar khatm kab ye andhere huwe hain..
*Meri neend ko raat bhar khwab ban kar,
Mulaqat ke rang ghere huwe hain..
*SHAKEEB Apna daman toh khali hai ab tak,
Bhari rut me gulshan ke phere huwe hain..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
What does the poem mean? What's your interpretation of it?
ReplyDelete