(GHAZAL NO17)
*Gham hai kis baat ka bata dijye,Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..
*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..
*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..
*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..
*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..
*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..
*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..
*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.
No comments:
Post a Comment