(GHAZAL NO 10)
*Jo nazar ka khel tha woh pyar ban kar reh gaya,Husn ka inkaar bhi iqraar ban kar reh gaya..
*Kis Qadar zalim huwa hai aaj kal ka ye samaj,
Do dilo'n ke darmiya'n diwaar ban kar reh gaya..
*Ishq ne kuchh is tarah badla mizaj-e-zindagi,
Jo kabhi tha kaam ka bekaar ban kar reh gaya..
*Saath jab tak tha tera khush-haal thi ye zindagi,
Tere bin jeena mera dushwar ban kar reh gaya..
*Chand lamho'n ka milan aur umr bhar ki dooriya'n,
Aaj kal ke pyar ka me'yar ban kar reh gaya..
*Sar se aanchal dhal gaya aur is tarah girta gaya,
Jo dupatta tha gale ka haar ban kar reh gaya..
SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
(Bhatkal)
No comments:
Post a Comment