(GHAZAL NO21)
*Har kisi par kar ke koyi mehrbani chhod de,khud guzar ja aur peechhe koyi saani chhod de..
*Dandanata phir raha hai kya zami'n phat jayegi,
Ek din barbad hoga lantarani chhod de..
*Ungliya'n uthti hain teri Doosro'n ki zaat par.
Apne andar jhaank unse badgumani chhod de..
*Mil gayi Taqat tujhe toh zulm se parhez kar,
ye na ho jaye kahein darya rawani chhod de..
*Shakhsiyet har shakhs ki uski zaba'n me Qaid hai,
Tuj ko izzat chahiye toh bad-zubani chhod de..
*Be tahasha hans rahe ho kya huwa DANISH tumhe.
Kal kahein aisa na ho ke aankh paani chhod de..
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickaballapur.
No comments:
Post a Comment