Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO 7

(GHAZAL NO 7)

*Mujh se woh apni aankhe'n usi din churayega,
Jab apni aankh se mere aansu bahayega..

*Woh khaar toh nahi hai magar ek na ek din,
Mere badan pe zakhm gulabi lagayega..

*Dhalta huwa badan mera Ghazalo'n ke roop me,
Ek din mujhe kitab ki surat sajayega..

*Ziddi bana diya hai usay gham ki dhoop ne,
Ab mai bhi rooth jaawu'n toh woh toot jayega..

*Chadar banaounga usay apne badan ki mai,
Raaho'n me apne dil ki mujhe jab bichhayega..

*Yu'n ban ke reh gaya hun khilona kisi ka mai,
Todega mujh ko roz magar phir banayega..

*Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath,
Tanhayiyo'n me jab woh Ghazal gungunayega..

*KHALID kaho na kuchh abhi bhole bahut ho! woh,
Khwabo'n me aayega na khayalo'n me aayega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Ameen abad, Luckow.

No comments:

Post a Comment