(GHAZAL NO 4)
Kis qadar badla huwa hai ab zamane ka chalan,Mit gaya hai bahami milne milane ka chalan..
Tum waha'n par aaye ho zaitoon ki daali liye,
Qatl aur gharatgiri hai jis gharane ka chalan..
Sab hasee'n shadaab chehre dilkashi khone lage,
Aao phir phailaye'n milkar muskurane ka chalan..
Phir raha hun mai hateli par waha'n jugnu liye,
Jis shaher me hai charagho'n ke bujhane ka chalan..
Ab gale toh kya milenge haath bhi milte nahi,
Chal padega kal yaha'n nazre'n churane ka chalan..
Ud gayi'n woh mere aangan ke shajar ki shaakh se,
Ab kaha'n chidyo'n ka ghar me chehchahane ka chalan..
Ye teri fitrat hai lekar aayega tu aandhiya'n,
Mai bhala kyun chhod du'n shamye'n jalane ka chalan..
Jo bhi karna hai karo RAHAT yahi hain chaar din,
Us jaga rayij kaha'n hai laut aane ka chalan..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
No comments:
Post a Comment