(GHAZAL NO 5)
*Jise azeez samajhta hun zindagi ki tarah,Hamesha milta hai mujh se woh ajnabi ki tarah..
*Ham apne baare me ab sochna hi bhool gaye,
Tera khayal musallat hai bekhudi ki tarah..
*Dila ke aas ujalo'n ki teergi baanti,
Jo dushmani bhi ki tum ne toh dosti ki tarah..
*Lahu-e-dil se tere gham ko jab se seencha hai,
Khayal khilne lage hain kisi kali ki tarah..
*Ghamo'n ki tez hawawo zara khayal rahe,
Mera ujood na bikhre meri khushi ki tarah..
*Darega kaun tashaddud ki teergi se NADEEM,
Hamare paas azaayim hain chandani ki tarah..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
M.K. Mohalla, Ramanagram- 571511
No comments:
Post a Comment