Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO19

(GHAZAL NO19)

*Gham hai kis baat ka bata dijye,
Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..

*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..

*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..

*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..

*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..

*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..

*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..

*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,

No comments:

Post a Comment