(GHAZAL NO25)
*Alvida keh kar mujhe woh jab gul-e-rana gaya,
Gulsitaan-e-zindagi ko kar ke weerana gaya..
*Naaz karta tha jo maazi me rafaqat par meri..
Saamne se ab jo guzra jaise begana gaya..
*Shama ko phir bhi na aaya pyar par uske yaqee'n.
Jaan se uski mohabbat me jo parwana gaya..
*Jurm tha uska faqat itna ke woh ba-resh tha,
Isbina par usko dahshatgard gardana gaya..
*Doosro'n ko jaan payenge bhala woh kis tarah.
Khud na apne aap ko bhi jinse pehchana gaya..
*Kis qadar nadaan hai woh shakhs Ay IBN-E-HASAN
Gardisho'n se woob kar jo su-e-mekhana gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
No comments:
Post a Comment