Sunday, August 22, 2010

GHAZAL NO28

(GHAZAL NO28)

*Ham toh khushbu sa hawawo'n me racha karte hain..
Aur chupke se tujhe roz chhuva karte hain..

*Dhoop ho chhao'n ho barsaat ho Mosam ho koyi..
Ham dua ban ke tere saath chala karte hain..

*Tanz ke kitne hi kaanto'n ko nikala ham ne..
Tees ke teer magar dil me chubha karte hain..

*Chandani raat me masoom se Bachche ki tarah..
Thaam ke ungliya'n yaado'n ki chala karte hain..

*Baato'n baato'n me chhidi baat hai jabb bhi unki..
Ham khayalo'n me kahein door uda karte hain..

*Tere Qadamo'n se lipat jaane ko bechain thay jo..
Pool who aaj bhi shakho'n se jhada karte hain..

*Boond bhar chandani Khushbuye'n hasee'n phoolo'n ki..
Ghol ke lafzo'n me ham geet likha karte hain..

*Ham ko kuchh kaam zamane se nahi hai ham toh..
Tere didaar ki hasrat me jiya karte hain..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
Gurdaspur,(Punjab)

GHAZAL NO27

(GHAZAL NO27)



*Koyi wa'da unka shayed bawafa hota nahi..
 Whojafa karte hain lekin mai khafa hot nahi..

*Jab kabhi tufaan ki zad me chale jawoge tum..
Jaan jawoge khuda hota hai ya hota nahi..

*Maal-o-daulat hai jise haasil toh sab us par fida..
 Tang-dasti me koyi bhi aashna hota nahi..

*Ilm-o-fan se hi Ay SYED ye jaha'n abaad hai..
Jism toh faani hai lekin Fan fana hota nahi..

SHAYIR:
SYED BHATKALI.
(Karnataka)

GHAZAL NO 26

(GHAZAL NO26)


*Jo izhaar-e-mohabbat ki jasarat kar nahi sakta..
Woh dunya me kisi se bhi mohabbat kar nahi sakta..

*Mujhe manzoor hain apni tabahi ke nazare bhi..
Kisi kamzarf ki lekin himayet kar nahi sakta..

Woh meri peeth peechhe toh jatata phirta hai shekhi..
Magar woh mujh se takrane ki jur'at kar nahi sakta..

*Shararat  jinka pesha hai woh baaz aa hi nahi sakte..
Mera shewah hai mai tark-e-sharafat kar nahi sakta..

*Milenge senkdo'n tum ko jaha'n me chahne waale..
Magar MAA ki tarah koyi mohabbat kar nahi sakta..

*Khuda ka khauf ho IBN-E-HASAN jis shakhs ke dil me..
Amanat me kisi ki woh khiyanat kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO25

(GHAZAL NO25)



*Alvida keh kar mujhe woh jab gul-e-rana gaya,
Gulsitaan-e-zindagi ko kar ke weerana gaya..

*Naaz karta tha jo maazi me rafaqat par meri..
Saamne se ab jo guzra jaise begana gaya..

*Shama ko phir bhi na aaya pyar par uske yaqee'n.
Jaan se uski mohabbat me jo parwana gaya..

*Jurm tha uska faqat itna ke woh ba-resh tha,
Isbina par usko dahshatgard gardana gaya..

*Doosro'n ko jaan payenge bhala woh kis tarah.
Khud na apne aap ko bhi jinse pehchana gaya..

*Kis qadar nadaan hai woh shakhs Ay IBN-E-HASAN
Gardisho'n se woob kar jo su-e-mekhana gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO24

(GHAZAL NO24)

*Apna zameer tu ne thapak kar sula diya,
MAA ko jo apni aaj sata kar rula diya..


*Dungi duaye'n tujh ko hamesha hi MAA jo hun,
Ye aur baat tu ne mera dil jala diya..


*Khoon-e-jigar se seench ke jisko bada kiya ,
usne Bahu jo aayi toh sab kuchh bhula diya..


*Bete ke ghar me aaj usi ki jaga nahi,
Jis MAA ne us pe apna sabhi kuchh luta diya.


.*Ungli pakad ke chalna sikhaya tha jis ne kal,
Ma'zoor hai woh aaj toh dar se utha diya ..


*Us ki nazar ka noor ho tum phir ye kya kiya
Tareekiyo'n me kis liye MAA ko bitha diya..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballpur,

GHAZAL NO23

(GHAZAL NO23)

*Palke'n jhuki thi phir bhi woh izhar  kar gaya,
Kya khoob saadgi se mujhe pyar kar gaya..


*Umr-e-taweel de mere allah ishq me,
Mere liye dua ye mera yaar kar gaya


*Aaya jo woh chaman me labo'n par hansi liye
Phoolo'n pe muskurana gira'n baar kar gaya..


*Lauta Toh isliye woh pareshan sa laga
Aaya tha jeetne keleye haar kar gaya..


*Soyi huwi thi hasrate'n Arsa-daraaz se.
Usne chhuwa jo dil ko toh bedaar kar gaya..


*TAHIR na puchh uski nigaho'n ki sahiri,
Nazro'n se meri mera hi didaar kar gaya..



SHAYIR:
DR.TAHIR MALIK,
Rampur maniharan,
Saharanpur (U.P.)

GHAZAL NO22

(GHAZAL NO22)

*Tum agar ehsaan karte ho jatana chhod do,
Warna behtar hai kisi ke kaam aana chhod do..


*App ke kaase me bas hamdardiya'n dalenge log,
Dastan-e-gham zamane ko sunana chhod do..


*Kaun hai Qabil ibadat ke siwa Allah ke,
Har kisi ke dar pe ja kar sar jhukana chhod do..


*Kaatib-e- taqdeer ne likkha hai jo hoga wahi,
Gardish-- aiyam par aansu bahana chhod do..


*Hadise aur zindagi toh lazim-o-malzoom hain,
Khauf se in haadiso'n ke thartharana chhod do..


*Haath aayega nahi kuchh bhi tabahi ke siwa,
Husn ki waadi ka tum chakkar lagana chhod do..


*Apni soorat bhi kabhi tum aayine me dekh lo,
Ungliya'n aibo'n pe auro'n ke uthana chhod do..


*Dard-e-dil phir se siwa ho jayega IBN-E-HASAN,
Ashk yu'n beete zamane par bahana chhod do..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



GHAZAL NO21

(GHAZAL NO21)

*Har kisi par kar ke koyi mehrbani chhod de,
khud guzar ja aur peechhe koyi saani chhod de..


*Dandanata phir raha hai kya zami'n phat jayegi,
Ek din barbad hoga lantarani chhod de..


*Ungliya'n uthti hain teri Doosro'n ki zaat par.
Apne andar jhaank unse badgumani chhod de..


*Mil gayi Taqat tujhe toh zulm se parhez kar,
ye na ho jaye kahein darya rawani chhod de..


*Shakhsiyet har shakhs ki uski zaba'n me Qaid hai,
Tuj ko izzat chahiye toh bad-zubani chhod de..


*Be tahasha hans rahe ho kya huwa DANISH tumhe.
Kal kahein aisa na ho ke aankh paani chhod de..


SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickaballapur.


GHAZAL NO20

(GHAZAL NO20)

*Khud ko yu'n teri mohabbat me na ruswa karti,
Gar kitabo'n me tera naam na likkha karti.

*Ban ke sapna toh na aaye thay mere jeevan me,
Tum haqeeqat thay bhala kyun na bharosa karti.

*Berukhi ne teri patthar bana ke chhoda hai,
Phool thi Mai toh tere sehn me mehka karti.

*Meri fursat ke ye lamhe sabhi tere hote,
Tu na hota teri tasweer ko dekha karti.

*Shaam dhalte huwe tu chaand sa nikla karta,
Mai jharoke me tujhe baith ke dekha karti.

*Tera uljha huwa jeevan meri mushkil hai magar,
Tu paheli hi sahi mai tujhe bhuja karti.

*Raag hota tu agar mai teri Sargam hoti.
Saari dunya hame'n ek saath hi gaya karti.

SHAYIRAH:
Dr.Virottama Sargam,
Bangalore.

GHAZAL NO19

(GHAZAL NO19)

*Gham hai kis baat ka bata dijye,
Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..

*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..

*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..

*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..

*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..

*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..

*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..

*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,

GHAZAL NO18

(GHAZAL NO18)

*Hai faqat uska sarapa hi nazar me aaj kal,
Bas gaya hai jo mere Qalb-o-jigar me aaj kal..

*Odh kar chehre pe apne muskurahat ki rida,
Phir raha hun mai hawadis ke nagar me aaj kal..

*Shukr hai Allah ka mehma'n ki aamd ke tufail,
Rahmate'n naazil huwi hain mere ghar me aaj kal..

*Jab pade tere Qadam toh door zulmat ho gayi,
Roshni pheli huwi hai
rah-guzar me aaj kal..

*Mushkile'n asaan kar de kar karam
Rabb-e-kareem,
Phans gaya hun mai masayil ke bhanwar me aaj kal..

*Ho na ho hamraah koyi par dua letay chalo,
Kaam aati hain duaaye'n hi safar me aaj kal..

*Qaum ka belos khadim tha jo kal
IBN-E-HASAN,
Aa gaya hai woh bhi shohrat ke asar me aaj kal..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO17

(GHAZAL NO17)

*Gham hai kis baat ka bata dijye,
Khud ko hargiz na yu'n saza dijye..

*Raaz afsha na ho kabhi dil ka,
Muskurahat me sab chhupa dijye..

*De ke ulfat ka dars bachcho'n ko,
Ghar ko jannat nisha'n bana dijye..

*Log khud dekh lenge aaib apne,
Ku-ba-ku aayine laga dijye..

*Kab se bichhda huwa hu'n mai khud se.
Mujh ko mujh se kabhi mila dijye..

*Misl achchhi hai yaad rakhiyega,
Nekiya'n keejiye bhula dijye..

*"SHAR" bhi ho jayega "BASHAR" dekho,
Shar se pehle jo 'ba' laga dijye..

*SAIF insa'n ki kya haqeeqat hai,
Aab par bulbula dikha dijye..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.

GHAZAL NO16

(GHAZAL NO16)

*Pagal samajh na le kahein ahl-e-nazar mujhe,
Itna toh hosh rehne de dard-e-jigar mujhe..

*Hamraah tum chale ho toh raste mahek utthe,
Kitna haseen lagne laga hai safar mujhe..

*Shayed bichhad ke aap se zindah na reh saku'n,
Tanha na chhodna kabhi Ay hamsafar mujhe..

*Shaheen hun mai mera basera hai shakh par,
Raas aayega bhala kaha'n sheeshe ka ghar mujhe..

*Baati nahi hai jinke gharo'n ke charagh me,
Milte hain har Qadam pe wahi chaand par mujhe..

*Shayed jhuka nahi hai ye aage yazeed ke,
Rakkha dikhayi de hai jo neze pe sar mujhe..

*Beti ke haath is tarah peele kiye gaye,
PARVEZ bech dena pada apna ghar mujhe..

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.

GHAZAL NO15

(GHAZAL NO15)



*Dekhe'n woh kab shaad kare hai..
Gham se kab azaad kare hai..

*Mere haal pe rone waale..
Kyun aansu barbaaad kare hai..

*Kitna sachcha pyar tha apna..
Aaj bhi dunya yaad kare hai..

*Har pal aahe'n bharta guzre..
Har lamha faryaad kare hai..

*Milte thay jis ped tale ham..
tum ko barabar yaad kare hai..

*Kis ke hijr me aankhe'n nam hain
Kisko ai dil yaad kare hai..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.
(Punjab)

GHAZAL NO14

(GHAZAL NO14)

*Dil me rehta tha aankho'n se hota huwa,
Woh gaya meri palke'n bhigota huwa..

*Hai udaasi fazao'n me bikhri huwi,
Kaun guzra hai galiyo'n se rota huwa..

*Haath katwa diye jab woh pakda gaya,
Pyar ke motiyo'n ko pirota huwa..

*Ab toh ban kar haqeeqat chale aayiye,
Thak gaya hun mai sapne sajota huwa..

*Ho ke mayoos lauta tere dar se yu'n,
Jaise jaaye koyi khud ko dhota huwa..

*Shaakh par phool jaisa laga tha mujhe,
God me maa ki bachcha woh sota huwa..

*Daagh jaate nahi hain lahu ke HAYAT,
Phaad daale na daman woh dhota huwa..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.

GHAZAL NO 12

(GHAZAL NO 12)

*Tum jo kehte ho badi hai toh badi hai dunya,
Warna dekho mere Qadmo'n me padi hai dunya..

*Mai bazid hun ke na tasleem karunga hargiz,
Baat udhar apni manane pe adi hai dunya..

*Bariyabi ki sa'aadat nahi hasil usko,
Muntazir kab se mere dar pe khadi hai dunya..

*Abr-e-befaiz hai ek mosam-e-bebara'n hai,
Aur baras jaye toh sawan ki jhadi hai dunya..

*Jab bhi chaha usay paspa hi kya hai RAHI,
Jin mahazo'n pe mere saath ladi hai dunya..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Barsitakli, Akola.

GHAZAL NO 11

(GHAZAL NO 11)

*Tum se bichhad ke neend na aayi tamaam raat,
Karwat badal badal ke bitayi tamaam raat..

*Kal chaudhvi ki raat ka har pal udaas tha,
Tum ne na apni shakl dikhayi tamaam raat..

*Din toh tumhe bhulane ki koshish me kat gaya,
Lekin tumhari yaad satayi tamaam raat..

*Moda tha ham ne baat ka rukh baarha magar,
Har baar usne baat badhayi tamaam raat..

*Saare Khatoot unke uda le gayi saba,
Ab dega nama-bar bhi duhayi tamaam raat..

*Phir ye huwa ke
zikr-e-wafa chhid gaya ANEES,
Usne nazar na mujh se milayi tamaam raat..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.

GHAZAL NO 10

(GHAZAL NO 10)

*Jo nazar ka khel tha woh pyar ban kar reh gaya,
Husn ka inkaar bhi iqraar ban kar reh gaya..

*Kis Qadar zalim huwa hai aaj kal ka ye samaj,
Do dilo'n ke darmiya'n diwaar ban kar reh gaya..

*Ishq ne kuchh is tarah badla mizaj-e-zindagi,
Jo kabhi tha kaam ka bekaar ban kar reh gaya..

*Saath jab tak tha tera khush-haal thi ye zindagi,
Tere bin jeena mera dushwar ban kar reh gaya..

*Chand lamho'n ka milan aur umr bhar ki dooriya'n,
Aaj kal ke pyar ka me'yar ban kar reh gaya..

*Sar se aanchal dhal gaya aur is tarah girta gaya,
Jo dupatta tha gale ka haar ban kar reh gaya..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
(Bhatkal)

GHAZAL NO 9

(GHAZAL NO 9)

*Kayi baar sooraj ke phere huwe hain,
Andhere magar ham ko ghere huwe hain..

*Nazaare kahein mustaqil kaash hote,
Ye tere huwe hain na mere huwe hain..

*Sitaro'n se sadiyo'n ujaale nichode,
Magar khatm kab ye andhere huwe hain..

*Meri neend ko raat bhar khwab ban kar,
Mulaqat ke rang ghere huwe hain..

*SHAKEEB Apna daman toh khali hai ab tak,
Bhari rut me gulshan ke phere huwe hain..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.

GHAZAL NO 8

(GHAZAL NO 8)

*Jo zaba'n thi narm kal tak aaj khanjar ho gayi..
Nam raha karti thi jo woh aankh patthar ho gayi..

*Ab kisi takleef ka ehsaas hota hi nahi,
Meri fitrat zulm seh lene ki khugar ho gayi..

*Jo diya karti thi MAA waqt-e-safar mujh ko dua..
Aaj uski roshani hi meri rahbar ho gayi..

*Thi mujhe ghere huwe tanhayiyo'n ki teergi..
Tujh ko pa kar ab meri dunya munawwar ho gayi..

*Aish-o-ishrat me hain Beta aur Bahu pardes me,
Chashm-e-maadar raah takte takte patthar ho gayi..

*Jab se maazi ke dareeche khul gaye
IBN-E-HASAN..
Zindagi ki har kahani mujh ko azbar ho gayi..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.

GHAZAL NO 7

(GHAZAL NO 7)

*Mujh se woh apni aankhe'n usi din churayega,
Jab apni aankh se mere aansu bahayega..

*Woh khaar toh nahi hai magar ek na ek din,
Mere badan pe zakhm gulabi lagayega..

*Dhalta huwa badan mera Ghazalo'n ke roop me,
Ek din mujhe kitab ki surat sajayega..

*Ziddi bana diya hai usay gham ki dhoop ne,
Ab mai bhi rooth jaawu'n toh woh toot jayega..

*Chadar banaounga usay apne badan ki mai,
Raaho'n me apne dil ki mujhe jab bichhayega..

*Yu'n ban ke reh gaya hun khilona kisi ka mai,
Todega mujh ko roz magar phir banayega..

*Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath,
Tanhayiyo'n me jab woh Ghazal gungunayega..

*KHALID kaho na kuchh abhi bhole bahut ho! woh,
Khwabo'n me aayega na khayalo'n me aayega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Ameen abad, Luckow.

GHAZAL NO 6

(GHAZAL NO 6)

*Manzar juda juda hai tujhe dekhne ke baad,
Aankho'n ko kya huwa hai tujhe dekhne ke baad..

*Kin haadiso'n ka zikr karu'n sochta hun mai,
Hangama mach gaya hai tujhe dekhne ke baad..

*Dunya ki nazar-e-bad se bachaye Khuda tujhe,
Sab ki yahi dua hai tujhe dekhne ke baad..

*Aksar bujha bujha sa mai rehta hun in dinau,
Kya ho gaya na jaane tujhe dekhne ke baad..

*Ab kya kisi ka jalwah pasand aayega bhala,
Ji mera bhar gaya hai tujhe dekhne ke baad..

*Itni kaha'n thi taab ke didaar kar sake,
Ghash kha ke gir pada hai tujhe dekhne ke baad..

*Jannat se bhi ziyada ye dunya haseen hai,
Mehsoos ho raha hai tujhe dekhne ke baad..

*Nikla tha jo falak pe woh mahtab sharm se,
Badli me chhup gaya hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
H. No. 21/156, Nizam Manzil, Shimla nagar,
Devargudihal Road,
Old-Hubli, Hubli- 580 024.

GHAZAL NO 5

(GHAZAL NO 5)

*Jise azeez samajhta hun zindagi ki tarah,
Hamesha milta hai mujh se woh ajnabi ki tarah..

*Ham apne baare me ab sochna hi bhool gaye,
Tera khayal musallat hai bekhudi ki tarah..

*Dila ke aas ujalo'n ki teergi baanti,
Jo dushmani bhi ki tum ne toh dosti ki tarah..

*Lahu-e-dil se tere gham ko jab se seencha hai,
Khayal khilne lage hain kisi kali ki tarah..

*Ghamo'n ki tez hawawo zara khayal rahe,
Mera ujood na bikhre meri khushi ki tarah..

*Darega kaun tashaddud ki teergi se NADEEM,
Hamare paas azaayim hain chandani ki tarah..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
M.K. Mohalla, Ramanagram- 571511

GHAZAL NO 4

(GHAZAL NO 4)

Kis qadar badla huwa hai ab zamane ka chalan,
Mit gaya hai bahami milne milane ka chalan..

Tum waha'n par aaye ho zaitoon ki daali liye,
Qatl aur gharatgiri hai jis gharane ka chalan..

Sab hasee'n shadaab chehre dilkashi khone lage,
Aao phir phailaye'n milkar muskurane ka chalan..

Phir raha hun mai hateli par waha'n jugnu liye,
Jis shaher me hai charagho'n ke bujhane ka chalan..

Ab gale toh kya milenge haath bhi milte nahi,
Chal padega kal yaha'n nazre'n churane ka chalan..

Ud gayi'n woh mere aangan ke shajar ki shaakh se,
Ab kaha'n chidyo'n ka ghar me chehchahane ka chalan..

Ye teri fitrat hai lekar aayega tu aandhiya'n,
Mai bhala kyun chhod du'n shamye'n jalane ka chalan..

Jo bhi karna hai karo RAHAT yahi hain chaar din,
Us jaga rayij kaha'n hai laut aane ka chalan..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.

GHAZAL NO 3

(GHAZAL NO 3)

*Jo meethi baat aksar bolta hai,
Wahi toh zehr dil me gholta hai..

*Qasam khata hai jo munsif ke aage,
Zaroori toh nahi sach bolta hai..

*Laga hai aib-joyi me jo sab ki,
Woh khud hi aib apna kholta hai..

*Ayaa'n ho jaati hai chehre se uljhan,
Zaba'n se jab nahi woh bolta hai..

*Ho dil me jab pareshani ka aalam,
Toh patte ki tarah dil dolta hai..

*Nahi hai jis me
khud-daari zara bhi,
Wahi khud-daar khud ko bolta hai..

*Zaba'n par rakh ke sach har waqt RAHI,
Jaha'n me kyun burayi gholta hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.

GHAZAL NO 2

(GHAZAL NO 2)

*Imtiha'n har mod par hai dekhye hota hai kya,
Kaale koso'n ka safar hai dekhye hota hai kya..

*Le na doobe meri kashti ko kahein
mauj-e-bala,
Fikr ye shaam-o-saher hai dekhye hota hai kya..

*Ek tamasha muflisi ka ham dikhane aaye hain,
Waise ye toh shehr-e-zar hai dekhye hota hai kya..

*Dhoop me chalna pada hai chhao'n ki ummeed me,
Raah me budha shajar hai dekhye hota hai kya..

*Pesh toh apni Ghazal TALIB ne kar di hai magar,
Mehfil-e-ahle nazar hai dekhye hota hai kya..

 
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Bihar.

GHAZAL NO 1

(GHAZAL NO 1)

*Begharaz is daur me ab pyar karta kaun hai... 
pyar ke me'yar par poora utarta kaun hai..
 
*Yu'n toh kehte hain sabhi ham jaan de denge magar,
Doosro'n ke waaste dunya me marta kaun hai...

 
*Ek dosheezah ne karli soch kar ye khud kushi,
Aaj shaadi dukhtar-e-muflis se karta kaun hai..

 
*Khoon se seencha tha jinko muddato'n ajdaad ne,
Un mahekti wadiyo'n se ab guzarta kaun hai..

 
*Mustayid hun mai bhi mere paas bhi kirdar hai,
Tu agar khanjar-bakaf hai tujh se darta kaun hai...

 
*Har koyi tanqeed karta hai yaha'n IBN-E-HASAN
Apni kotahi pe lekin ghor karta kaun hai..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN BHATKALI